Shehar ki badalti hawa

Pyaar tumse nahi dilli se hua tha,
Uss samay ki hawa mei dhue ke saath prem bhi tha. 
Dooriya tumse shuru hui, dilli se badti chali gayi, 
Abb toh sirf dhua hee reh gaya hai, dhul kya khaak chatoge? 
Abhi bhi Chhole bhature sirf wahi acche milte hai, 
Kyunki asli baat yeh hai ki dushmani chahe jitni karlo, pet prem se hee Bharta hai. 
Jaane kab aunty se aurat ho gayi, 
Naam toh hamara tha magar, 
Sirf beta bol ke pukara jaata tha, 
Chahe woh daant ho ya protasahan. 
Tum bhi tab mere liye sirf ek ladki thi, 
Isliye prem kiya tha magar, jaane kab
Kab kambakht tum laundi ho gayi. 
Suna hai facebook pe tumhe abb babe kehte hai

Comments

Popular posts from this blog

Dilli

A handful of joy

Last play